Bolta hai to pata lagta hai,
Zakhm uska bhi naya lagata hai..!!
Aa jati hai tanhai bhi raas,
Bas ek-do roz bura lagata hai..!!
Baithe hain intazar me shaam talak,
Samjho aaj ka din bhi gaya lagta hai..!!
Bade zaalim hain ye duniya wale,
Ghar se niklo to pata lagta hai..!!
Yun gham to bahot hain seene me,
Par zara sa muskara dene me kya lagta hai..!!
Do kadam pe hai adalat lekin,
Soch lo; waqt bada lagta hai..!!
Cheers,
Manish