Jinhe tha pyar kabhi hamse jindgi ki tarah,
Vo aaj pahlu main baithe hai ajnabi ki tarah.

Najar Najar se hame chuke muskurate hain,
Kareeb aate nahi Na hame bulate hain,
Gujar raha hai har 1 lamha 1 sadi ki tarah,
Jinhe tha pyar kabhi hamse jindgi ki tarah,
Vo aaj pahlu main baithe hai ajnabi ki tarah.
Vo hamsafar kya hue jo safar main chhod gaye,
Bina kasoor mohabbat ke rishte tod gaye,
Lagaya dil bhi unhone to dillagi ki tarah,