MouthShut.com Would Like to Send You Push Notifications. Notification may includes alerts, activities & updates.

OTP Verification

Enter 4-digit code
For Business

Article Rated By

Kehani Bachpen Ke Mitron Kee !!

By: sydbarett | Posted Mar 29, 2010 | General | 1697 Views | (Updated Mar 29, 2010 05:01 PM)

Yeh kehani hai kayi hezaar saal pehle kee. Kaha jaata hai ki Dwaapar Yoog mae Ganga ke tat par do mitra raha karte thae. Dono me daant kaati roti (fast friendship) thi. Dono saath saath paathsaala jaate aur saath saath ta**i bhi. Doniya waale unke dosti ki misaal diya karte. Dheere dheere semay beetata gaya aur dono dost jawaan ho gaye. Ek ko shaher ke ucch siksha paathsaala me pravesh mil gaya. Lekin doosra bechara "gaon" mae hee reh gaya.


Shaher mae jaane ke upraant pehle waale dost ko ek nayi doniya ka anubhav hua. Shaher mae ooski mulakaat wahan ke Rawjcoomari sae ho gayee. Rawjcoomari ko dekhte hee ooske hriday me pyaar ke beej ankurit ho gaye aur jaldi hi uski zindagi me mohabbet ki bahaar aa gayi. Dheere dheere chahet ke fool khile aur dono ek doosre kae kereeb aa gaye. Ek samay aisa aaya ke pehlae dost nae oos Rawjcoomari kae prem mae doniya ko bhoola diya.


Udhar doosra dost oose rowj khat likhta aur ooske waapis aane kaa intezaar karta. Kintoo ab to pehle nae jewaab dena bhi band kar diya tha. Doosrae ko is baat sae badi nirasha hoti. Lekin karta bhi kya, bechara laachaar tha. Afsos pehle ko yeh maloom na tha ki shaher kee doniya kitnee zaalim aur aupanmatlabi hoti hai !!


Rawjcoomari nae us-se kai waade kiye aur use behlayae rakhne ke liye heere-jewaharaat sae maalamaal kar diya. Woh uske saath chandni raat me nauka vihaar karne jaati aur dono rowj-rowj Shahi Jalpan-griha me Nabob ke Kabob khaate. Kuch dinon baad pehle ko aayat-niryaat karnae waali sansthaa mae naukri mil gayee. Khoosi khoosi woh Rawjcoomari kae paas vivah kaa prastaaw lae kar pahucha.


Magar vidhi ka vidhaan dekhiye. Naseeb ne uska saath nahi diya. Pata chala ki Rawjcoomari ka vivah aayat-niryaat karnae waali "kaiwatan" (MNC) sansthaa kae kisi prabandhak (bole to Manejer) sae ho gaya aur dono saat samoonder paar chalae gayae hain. Pehle kaa dil toot gaya. Sadak par yoon hee maara maara phir raha tha ki oose apnae pooranae mitr ki yaad aayi. Yaad aaye woh pal jo unhone saat saat gujaare the, woh khet, woh lota....Jhatpat woh waapis gaon kee taraf ho liya. Lekin Eeshwar ka adbhut khel to dekho. Doosrae nae doniya kae julm to berdaasht kar liya lekin apnae mitra kee dutkaar na seh saka. Khuch din pehle usnae bhi dam toad diya.


To bacchon iss kehani sae hamaen kya siksha miltee hai ?


Masterji, iss kehani sae hamaen yae siksha miltee hai ki jo pooroosh shaher ke chaka-chaundh ke peeche bhaag kar apne mitron koe bhoola deta hai, use khaali haat se hi kaam chelaana padta hai:-P


You loved this blog. Thank you for your rating.
X