MouthShut.com Would Like to Send You Push Notifications. Notification may includes alerts, activities & updates.

OTP Verification

Enter 4-digit code
For Business

Article Rated By

By My Better Half for her Sister's Silver Jubliee

By: kashpa | Posted Oct 08, 2008 | General | 307 Views

Woh thee mere vivah ke raat , thee sab kuch naye andaz ke baat ,


Ristedaron ka jamawada tha , ek se badh kar ek sab ka pahnava tha ,


Main sharmayi sakuchayi se baithe thee , apne he dhun mein uljhi thee ,


Sehnai apne sur mein bajte thee , dil ke dhadkan badhte thee ,


Aaj baith main sochte hoon , yeh to thi pachees saal pehle ke baat ,


Woh thee mere .....


Aaj woh angan apna na tha , ma papa koi na tha ,


Woh to chir nidra men soi thee , apne mein khoye the ,


Dastak dene pe bhi na sunte the ,


Main dekhna cahte the , par woh na dikhte the ,


Man roye main ka se kahon , kiske lagun gale ,


Ghar angan choot gaya , rista nata toot gaya ,


Ma ke angan ke chidiya ho gaye paraye ,


Baba ke ankhon ka tara ho gaye parayi ,


Beet gaya waqt , yeh to ho gaye pachees saal ,


Woh thee mere ....


Aaj Khus hoon man jhoom raha hai , sab mana rahein hai meri wahi vivah ke raat ,


Cehre par khoshiyon ki mushkan hai , lekin dil mein kahin thakan hai ,


Hai pehar to choot gaya , dil to toot gaya ,


Naye rishte naye kopal ke sath khil gaye ,


Grihasti ke naiyya majdhar ke oor chal padi ,


Yeh to the pachees saal ke baat ,


Woh thee mere ...


You loved this blog. Thank you for your rating.
X