MouthShut.com Would Like to Send You Push Notifications. Notification may includes alerts, activities & updates.

OTP Verification

Enter 4-digit code
For Business
MouthShut Logo
Upload Photo
Teesri Kasam Image

MouthShut Score

100%
5 

Plot:

Performance:

Music:

Cinematography:

×

Upload your product photo

Supported file formats : jpg, png, and jpeg

Address



Contact Number

Cancel

I feel this review is:

Fake
Genuine

To justify genuineness of your review kindly attach purchase proof
No File Selected

New York City United States of America
!! MAARE GAYE GULFAAM !!
Aug 28, 2012 12:55 PM 19669 Views

Plot:

Performance:

Music:

Cinematography:

Lagbhag 6 saal pehle, Allahabad mein, maine “Teesri Kasam” pehli baar dekhi thi. Un dino main Raj Kapoor ki Filmein dekh raha tha. ‘Chori Chori’ aur ‘Teesri Kasam’ khaas karke mujhe bahut pasand aanyee. Phir Allahabad chhutta aur woh sab filmein bhi. Bahut dino se main ‘Teeri Kasam’ ki talash mein tha..aur phir ek din mujhe iska Torrent dikha… phir kya tha.. daer lagi par copy hui.. aur ‘Teesri Kasam’ ko dobara dekhne ka mauka mila.


.


Mujhe seedhi saadi suljhi hui kahaniyan bahut bhati hai, khaas karke agar woh Gramin bharat par aadharit hon to, aur yeh sab mujhe ‘Teesri Kasam’ mein mila. Aur iske saath mile..mere bahut saare pasandida geet .. ek hi film mein.


.


Ab zaraa Kathanak ki aur badein.


.


KATHANAK: Hiraman (Raj Kapoor), Gaon ka seedha saada aadmi hai jo Bailgadi mein swaariaya ya phir saaman dhokar apni rozi roti kamata hai. Ek din jab, chori ka samaan lekar jaate hue, police pakad leti hai to badi mushkil se woh khud ko bachata hai, aur kasam (Pehli Kasam) khaata hai ki, phir kabhi woh Gair-Kanooni saaman apni Gaadi mein nahi ladhega.


.


Kuch isi tarah, jab gaadi mein Baans ladhe hone ki wajah se uski gaadi do gudswaron se takra jaati hai aur Gudswaar uski pitai karte hai, to woh kasam (Dursi Kasam) khaata hai ki woh phir kabhi apni gaadi mein baans nahi ladhega.


.


Phir ek din, Railways Station par Hiraman ko ek Janana Sawari ko 40 mil duur ek Gaon mein chhoodne ka kaam milta hai. Baat shuru hone par Hiraman ko pata lagta hai ki swaari ka naam Hirabai(Waheeda Rehman) hai aur woh Gaon mein lage mele mein;Nautanki mein kaam karti hai. Raaste mein dono mein khoob batein hoti hain, Hiraman Hirabai ko Mahua ka kissa aur usse jude hue kuch geet sunata hai. Hirabhai ko Hiraman ki masumiyat aur saadhgi pasand aati hai, to Hirman ko Hirbai ki khoobsurati aur nirmalta. Is tarah dono, dil hi dil mein, ek dusre ko pasand karnelagte hai.


.


Mele mein pahuchne par Hirabai Nautanki mein chali jaati hai aur Hiraman apne dost Gaadi walon mein vyast ho jata hai. Hirabai Hiraman ko Nautanki ke pass dilati hai. Nautanki ke dauran jab ek aadmi Hirabai ko Gaali deta hai to Hiraman se raha nahi jaata aur woh usse jagad padta hai. Har mod par, har kisi se Hirman Hirabai ke liye ladta Hai.


.


Har gujarte din ke saath dono mein pyar badta jaata hai. Phir Hirabhai, Hiraman ke pyar se prabhavit hoker, Sadaa ke liye Nautanki chhod ka sochit hai par uske saathi use smjhate hai ki Hiraman usko ek pavitra devi ki tarah pujta hai, jab usko sach ka pata lageaga to woh bardaasht nahi kar payega.. Tab Hirabai Shaher waapis lautane ka faisla karti hai. Jaane se pehle, Hiraman se aakhri mulaqat mein Hirabai usko apni sachai batati hai aur yeh bhi ki kyun unka rishta mumkin nahi hai.. Hirabai ke Jaane ke baad Hiraman Teesri Kasam khata hai ke, phir kabhi Nautanki walon ko apni Gaadi mein nahi bithaega.


.


Ab zaraa Samiksha ki aur badein.


.


SAMIKSHA: Phanishwarnath Renu ki kahani . 'Mare Gaye Gulfam' par aadharit, ‘Teesri Kasam’ Gaon ke logon ki saadi si kahani hai. Aur yeh kahani R K Narayan ki likhi hui kahaniyon se kaafi mail khaati hain. Mujhe to aisa lag raha tha jaise ke saare charitra Malgudi se hi uthaye hue hai. Film ko dekh kar purana Hindustan yaad aa jaata hai. Gaon ki khushboon, mela, lokgeet, Seedhe Saade paatr sab ateet ki yaad dilate hai. Kya pata aaj bhi kisi bheetri gaon mein jaaye to kuch aisa hi bharat saamne aaye?


.


Kuch drishyon mein to gaon ki logon ki maasumiyat itni jhalakti hai ki aap hans padege. Jaise ki, Hiraman ke pandit mitr ka Hirabai ke Charan Sparsh ki koshish;


aur dusre mitr ko Hirabai ka Nritya dekh kar bukhaar ho jaana;


Hirabai ke chhune par hiraman ka Beichain hona;


aur phir apne mitron ke beech iski deeng marna.


.


ANAYA JANKARI:Teesri Kasam’ 1966 pehli baar pradishit hui B/W film hai. isk avadi 2 ghante 18 minute hai. Basu Bhattacharya ke kushal nirdeshan tale bani is film ko 1967 mein National Film Award for Best Feature Film se samanit kiya gaya tha.


.


ABHINAY:Teesri Kasam’ mein Raj Kapoor ne umda abhinay kiya hai; balki main to ise unka behtreen pradarshan kahunga. Raj Kapoor ji maane jaate hai seede saadhe masumiyat bhari bhumikaon ke liye, par Teesri Kasam mein woh paatr mein kuch jaida hi ghule hue lagte hai. Hirabai ke liye Hirman ka svatvabodhak hona, Hirabai ko bura kehne walon par uksa gussa karna, Hirabai ke samne Hiraman ki jhijhak aur sharmilapan sab sahaj lagta hai. Unka uchcharan shaili bhi unke paatr ke saath sahi baithti hai.


.


Waheeda Rehman ji ne bhi behtreen pradarshan kiya hai. Unka Abhinay bhi RK ki tarah bahut Sahaj lagta hai. Woh bhi apne paatr mein ghuli hui dikhti hai. Koi shaq nahi ki unka paatr ek Nautanki ki Naachne waali bai ka hai, par phir bhi paatr ke anusaar wo thodi masoom aur sushobhit nazar aati hai. Sundar to woh hain hi. Geeton mein Unka Nritya bhi umda hai.


.


In do abhinaytaon ke alaba, baaki sab kalakaron ne bhi achha pardarshan kiya hai. Vikram Singh ke paatr mein Iftekar aur Hirman ke teen doston ke patr mein jo kalakaar hai, sab prabhavit karte hai.


.


SANGEET: Kahani aur kalakaron se bhi adhik agar kuch mann ko bhaata hai to woh hai ‘Teesri Kasam’ ka Sangeet. Shankar Jaikishan dwara banai hui aur Hasrat Jaipuri, Shailendra likhi hui, ek-ek rachna ek se badkar ek hai. Phir Chahe wo Mukesh ke gaaye hue teen umda geet ho - ‘Sajan re Jhoot mat bolo’, ‘Duniya Banane Wale’, ‘Sajanwa Bairi ho gaye’ – ya phir Manna Dey ka gaaya hua ‘Chalat Musafir Moh Liya’ ho; Asha ji ka gaaye hue geet ‘Paan Khaaye Sayion Hamaroo’ aur ‘Haye Ghazab Kahin Tara Toota’ ho; ya phir Lata ji ke gaaye hue masterpieces ‘Aa Aa Bhi Jaa’aur ‘Maare Gaye Gulfaam’ ho.


.


Baki geet “Yeh chahat hai ke tum mujhko dekha karo' aur ‘Lali lali chunariya mein’ dono achhe hai.


.


Waqt ke saath log is film ko shayad bhool jaaye par in asmayik Geeton ko koi nahi bhoola sakta.


.


AAKHRI SHABAD:Teesri Kasam’ ek shreshtatam film hai. Khaas karke Raj Kapoor ki fimlon mein se meri pasandida. Main ‘Teesri Kasam’ ko humesha yaad rakhunga iske behtreen Geeton ke liye; iske kalakaron ke umda pradarshan ke liye; iske man-mohak patron ke liye; gaon ke seedhe saadhe logon ke jeevan par bani ek nirmalta bhari kahani ke liye; Basu Bhattacharya ke behtreen nirdeshan ke liye; aur jis khoobsurati se yeh Gramin bharat ko darshati hai, uske liye . Aur kitne kaaran ginau aur kya kahun main iski prashansa mein, ab shabad kam padne lagein hai. Aap khud dekhiye aur bataiye..


.


++++++++++++++++++++++++++++++++


.


PYAR HUMEIN PHIR MILAAEGA…… .


Upload Photo

Upload Photos


Upload photo files with .jpg, .png and .gif extensions. Image size per photo cannot exceed 10 MB


Comment on this review

Read All Reviews

YOUR RATING ON

Teesri Kasam
1
2
3
4
5
X