MouthShut.com Would Like to Send You Push Notifications. Notification may includes alerts, activities & updates.

OTP Verification

Enter 4-digit code
For Business
MouthShut Logo
38 Tips
×

Upload your product photo

Supported file formats : jpg, png, and jpeg

Address



Contact Number

Cancel

I feel this review is:

Fake
Genuine

To justify genuineness of your review kindly attach purchase proof
No File Selected

Wish I had never met you coz it hurts to lose you
Jan 21, 2006 03:54 AM 4292 Views
(Updated Jan 21, 2006 03:54 AM)

My favorite five songs to get over heartbreak are


5.  When the heartbreak is fresh and hurting so much it is hard to breathe, then all you want at that moment is for the other person to hurt too.  and somehow that makes one feel better and start on the path of recovery.


Meri Bheegi Bheegi Si Palkon Pe Reh Gaye


Jaise Mere Sapne Bikhar Ke


Jale Man Tera Bhi Kisike Milanko


Anamika Tu Bhi Tarse


Tujhe Bin Jaane Bin Pehchane


Maine Hrudayse Lagaya


Par Mere Pyar Ke Badle Mein Toone


Mujhko Yeh Din Dikhlaya


Jaise Birha Ki Rut Maine Kaati Tadapke


Aahen Bhar Bharke


Jale Man Tera Bhi.


Aag Se Naata Naari Se Rishta


Kaahe Man Samajh Na Paaya


Mujhe Kya Hua Tha Ek Bewafaa Pe


Hai Mujhe Kyon Pyaar Aaya


Teri Bewafaai Pe Hanse Jag Saara


Gali Gali Guzre Jidharse


Jale Man Tera Bhi.


sung superbly by Late Kishore Kumar in Anaamika




  1. There comes a stage when you are angry one minute and depressed the other minute.  You want to forget everything and then you feel helpless to forget.




khaali ghar ki deevaaron pe sheeshe ki tasveeren hain


main ye tod ke rakh doonga ye yaadon ki zanjeeren hain


jaa jaa jaa mujhe na ab yaad aa  -2


mujhe bhool jaane de jaane de


jaa jaa jaa mujhe na .


mere labon pe ye kahaani kyon rahe  -2


tu na rahi teri nishaani kyon rahe


ye jawaani kyon rahe zindagaani kyon rahe


jaa jaa jaa mujhe na .


ujada mahal ye veeraanon ki tarah  -2


isamein phiroon main deevaanon ki tarah


anjaanon ki tarah begaanon ki tarah


jaa jaa jaa mujhe na .


sung by Kishore Kumar in Prem Nagar


3.  When you are feeling unlucky and wallowing in self-pity and feel you will live like this forever, sad and alone but believe me, these feelings pass with time coz what they say about time is true.  Time heals everything.


Jaane Woh Kaise Log The Jinke Pyar Ko Pyar Mila


Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila


Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar Pal Do Pal Ka Saath


Kisko Phursat Hai Jo Thaame Deewane Ka Haath


Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila


Humne To Jab.


Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yunhi Ji Lenge


Uf Na Karenge Lab See Lenge Aansoo Pee Lenge


Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila


Humne To Jab.


sung soulfully by Hemant Kumar in Pyasa


2.  Nothing in life is permanent.  Happiness follows sorrow just as day follows night .


The lyrics speak for themselves.


na munh chhupa ke jiyo aur na sar jhuka ke jiyo


gamon ka daur bhi aaye to muskura ke jiyo


na munh chhupa ke jiyo aur na sar jhuka ke jiyo


ghata mein chhupake sitaare fana nahi hote


andheri raat mein diye jala ke chalo


na munh chhupa ke jiyo aur na sar jhuka ke jiyo


ye zindagi kisi manzil pe ruk nahi sakati


har ik maqaam pe qadam badha ke chalo


na munh chhupa ke jiyo aur na sar jhuka ke jiyo


sung by Mahendra Kapoor in his melodious voice for the hindi movie Humraaz(old)


1.   As they say  aur bhi gham hai zamane mein muhabbat ke siwa-


This is one of my all time favorite songs esp. the last stanza.


Full of encouragement and realities of life.  However hard it might be, you have to move on with your life.


kaha chala aye mere jogi, jeewan se tu bhaag ke


kisi ek dil ke karan, yun sari duniya tyaag ke


chhod de sari duniya kisi ke liye


yeh munaasib nahin aadmi ke liye


pyaar se bhi zaroori kayi kam hain


pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye


chhod de sari duniya kisi ke liye


tann se tann ka milan ho na paaya to kya


mann se mann ka milan koi kam to nahin(2)


khushboo aati rahe door hi se sahi


saamne ho chaman koi kam to nahin(2)


chand milta nahin sabko sansaar mein


hai diya hi bahut roshni ke liye


chhod de sari duniya kisi ke liye


kitni hasrat se takti hain kaliyan tumhe


kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin(2)


ek duniya ujad hi gayi hai to kya


doosra tum jahan kyun basaate nahin


dil ne chaahe bhi to saath sansaar ke


chalna padta hai sab ki khushi ke liye


chhod de sari duniya kisi ke liye


from the movie Saraswati Chandra sung by the ever melodious Lata Mangeshkar


I don't believe in'Jab dil hi toot gaya to jee kar kya karenge'  and you must not either!


Upload Photo

Upload Photos


Upload photo files with .jpg, .png and .gif extensions. Image size per photo cannot exceed 10 MB


Comment on this review

Read All Reviews

X