Tamam umar zindagi se door rahe, Aapki khushi ke liye apni khushi se door rahe, Ab iss se badkar wafa ki saja kya hogi, Ke aapke hokar bhi aapse door rahe…!
Bade ajeeb hain ye zindagi ke raaste, Anjane mod par kuch log dost ban jate hain, Milne ki khushi de ya na de, Bichadne ka gum zaroor de jate hain.
Din tere khayal me guzar jata hai, Raat ko bhi tera hi khayal aata hai, Kabhi ye khayal iss kadar badh jata hai, Aaine mein bhi tera hi chehera nazar aata hai.