MouthShut.com Would Like to Send You Push Notifications. Notification may includes alerts, activities & updates.

OTP Verification

Enter 4-digit code
For Business

Article Rated By

indo-pak

By: sunnyy3105 | Posted Dec 02, 2008 | poems.. | 419 Views

Subah subah ik khwab ki dastak par darwaza khola, dekha


Sarhad ke us paar se kuchh mehmaan aaye hain


Aankhon se maayoos the saarey


Chehre saarey sune sunaaye


Paanv dhoye, Haath dhulaye


Aangan mein aasan lagwaaye...


Aur tannoor pe makki ke kuchh mote mote rot pakaye


Potli mein mehmaan mere


Pichhale saalon ki faslon ka gud laaye the


Aankh khuli to dekha ghar mein koi nahin tha


Haath lagakar dekha to tannoor abhi tak bujha nahin tha


Aur hothon pe meethe gud ka jaayka ab tak chipak raha tha


Khwab tha shayad!


Khwab hi hoga! !


Sarhad par kal raat, suna hai, chali thi goli


Sarhad par kal raat, suna hai


Kuchh khwaabon ka khoon hua hai


You loved this blog. Thank you for your rating.
X