MouthShut.com Would Like to Send You Push Notifications. Notification may includes alerts, activities & updates.

OTP Verification

Enter 4-digit code
For Business

Article Rated By

gun guna raha ye mann

By: subhash_jsr | Posted Jan 10, 2012 | General | 1392 Views

Pichhle kuchh dino se chal rahe uthal puthal ke kaaran mann thoda pareshan tha, karna kuchh chhaha hua kuchh aur. Isi dauraan anke gaane dimag mei ghumte rahe, kuchh aap logon ke saamen pesh hai :)




  1. Main chahta bhi yahi tha ki wo bewafa nikle, usey samajhne ka koi to silsila nikle.........hmmmmm, wo kisi ne kaha tha ki agar aadmi ko pehchan na ho to us se mithi nahi kadwi baat karo, kyon ki mithe ka jawab to log mitha hi dengey, par jo kadwe baaton ko bhi chup chap sun le (khud ko sahi karne ke liye) ya phir bhi meethe mei jawab de, to samajh lena ki wo hi tumhara sachcha dost hai. Maine jo kiya poore hosh aur hawaas mei kiya aur bahut se logon ki asliyat pata chal gayi :)




  2. Jo dekhne mei bahut hi kareeb lagta hai, usi ke baarey mei socho to fasila nikle........Bahut socha, kaun kiske ghar ke nazdeek rehta hai, kiske paas kiska phone number hai, kaun bekaar (unemployed) hai aur naukri ki talash kar raha hai, kaun CEO ke personal bulawe par mila aur waha kisi ko dekh kar hairaan reh gaya, kisi ko kya padi hai ki wo sab ka BIO data apne data base mei rakhe aur sabhi ko wish karey, khas kar star members aur kuchh chune huye members (main bhi hoon is category mei, luckily). Par sab socjhne ke baad ye sab samajhmei aaya ki yahan koi kisi ka kuchh bhi nahi, bhai log behan ki pol khol rahe hai, dost dost par milkar waar kar rahe hain, bas dhandha chalte rehna chaiye. :)




  3. Ye shama to jali roshni ke liye, is shama se kahin aag lag jaye to ye shama kya kare........Ab jaisa upar likha, ki chaha tha kuchh hua kuchh, roshni karne aaya tha aur logon ke aasiyane mei lag gayi aag, par iske liye kya sirf ye shama hi doshi hai. Kahin padha tha ki "apni har paristithi ke liye hum khud jimmedar hotey hain".






4. Laakh chhupao chhup na sakega raaz ho kitna gehra, dil ki baat bata deta haiasli naqli chehra.........Naqli chehre ne to bahut kuchh bata diya aur bahut se logon ke chehre se mukhaute bhi utre, par kya ye aakhri mukhauta hai, uske niche aur mukhuta nahi hai iska kya bharosa. Lekin in naqli chehron ko hi pooja jaata hai, kyon ki inhi ki badaulat to kisi ke pet mei roti (saath mei aur bhi) jaati hai. Isi baat par aur ek gane ki line........dekhein in naqli chehro ki kab tak jai jai kar chale, ujle kapdo mei kab tak kala vyapaar chale..........




  1. Saathi haath badhana saathi re......... Ek bhai ne kuchh likha to us par hamla karne ke liye bahut logon ne haath aagey badhaya aur lagey ek akele ka mansik balatkar karne, par jaise hi usey bhi kisi ke haath ka sahara mila, aur kisi adrishya jantu ne bhi mauke ka fayda utha waar kiya to log tilmila gaye. Mazak usi ko karna chahiye jisey mazak sehne ki himmat ho. Tujhko mirchi lagi to main kya karoon................




  2. Kuchh bhi kijiye logon ko chain nahi hai...........hum bolega to bologe ki bolta hai.........aur agar chup raho to........ye chup si kyon lagi hai aji kuchh to boliye.........




  3. Ab ye gana sahi nahi lagta........Ehsaan mere dil pe tumhara hai doston...........ab to bas yahi gunguna raha hoon..........chal akela chal akela tera mela pichhe chhuta rahi chal akela....................






Jyada chatunga nahi dimag, wo kehte hai na ki jaatey samay kisi ka dil nahi dukhana chahiye .............to........ tumhe MS ke ujale mubarak, mujhe FB waley ab bula rahe hain.............. arey wah.... kya baat hai .... pairodi bhi ban gaya .......... sahi kaha hai kisi ne ki jo hota hai achche ke liye hota hai ....... ha ha ha ha ha.


Pahle se hi main saare maapdand pura kar raha tha MS karmchari ke ohdey ke liye aur..............he bhagwan........... ye kya kiya maine, maine apni aukat nahi dikhayi, abey C/P bhool gaya kya, ye kya sab likh rahe ho.


Thanks a lot MS, sorry, chhama karein meri aukat to hindi hi hai na ........ to dhanywad MunhBand mahasay, aapne kuchh bahut hi achche bhai aur dost diya mujhe, jiske liye ye banda zindagi bhar aapka shukraguzaar rahega, aur logon ko samajhne aur pehchanne ka gyan bhi mila. Yahan na aaya hota to shayad kuchh seekh nahi paata ................. Aap yunhi members ko ladate rahein, ulloo banate rahein, roj ek meri tarah haar maan kar dum daba kar, he he he (kuchh logo yahi keh rahe hongey) bhaag jayenge. Aakhir burayi ke saamne achchhayi kabhi tiki hai kya, Kalyug ha na, oooooffff, bhool gaya tha, umar ho gayi hai na.......... Jai ho :)


You loved this blog. Thank you for your rating.
X