.Zindagi....yani kya?
1 dhundhli si shaam,
1 roadside stall,4 dost,
4 cutting chai,1 table
aur woh madh-mast baatein!
.Zindagi...yani kya?
1 Innova,7 dost,1 khula Lamba raasta,
1 purana gaana,1 suhana safar!
Zindagi...yani kya?
1 dost ka ghar,1 halki si baarish,
1 balcony mein baithe sab aur dher saara mazaak!
Zindagi...yani kya?
Kuch school ke dost,
1 bunk kiya huyi class
1 kachori,2 Samose
aur bill par hone wala jhagda!
Zindagi...yani kya?
1 call uthathe hi padne wali
dost ki gaali,aur " sorry"
kahne par 1 aur gaali!
Zindagi...yani kya?
Kuch saalon baad,achanak
purane doston ka khayaal
1 sms,dhundhli padi kuch bheegi yaadein aur
ankhon mein aayi nami!
In short,
Zindagi ka naam Dosti...
Dosti ka naam Zindagi!!!