Zindagi milegi na dobara kuch to kaam karna banta hai hamara
kyun na aasaan karein hum yeh zindagi kyunki ispe haq hai hamara
kabhi shikwa to kabhi hum karte hai shikayat par na kabhi socha ki kuch banta hai farz hamara
shayad kabhi hum isko samajh nahi paate hai aur banate isse mushkil
par zindagi bahut khoobsurat hai mere dost aur iske ek ek pal hai haseen
dil mein rakho khwahishein kuch acha karne ki
aur irada karo kuch kamyabi haasil karne ki
kyunkiii dost.yahi sahi waqt hai hamara.
agar zindagi se pyar karo aur batna ho pyar to mat karna kisika intezar
Apna dil bharlo pyar se aur haasil karlo khushiyan