MouthShut.com Would Like to Send You Push Notifications. Notification may includes alerts, activities & updates.

OTP Verification

Enter 4-digit code
For Business

Article Rated By

!!! ZINDAGI !!!

By: rpsingh21 | Posted Sep 18, 2012 | General | 788 Views | (Updated Sep 18, 2012 04:49 PM)

life me hum janam lete hain....


kisi ke sath usi waqt zindagi nibhane ki hum kasam lete hain....


dheere dheere hum bade hote hain....


har mushkilon ka samna kar ke apne pairon par khade hote hain......


dhere dhere hum duniya dekhte hain......


pal pal hum duniyadaari sikhte hain......


school se college tak....books se knowledge tak......


life se nature tak......struggle se future tak......


har pal zindagi me naya mod aata hai.....


kisi bahane se zindagi hume unse jod jata hai.....


koi humara yaar banta hai.....


koi kisika pyaar banta hai.....


kitabon ki duniya me hum kho jaate hain.....


tanha zindagi me hoke kabhi kabhi ro jate hain.....


halaton se ladte ladte rishton se door choot jate hain......


apno se door hoke insaan waqt ke saamne toot jate hai.....


zindagi me number ke games shuru hote hai.....


har gharwale ka rona IIT n AIIMS shuru hote hain.....


friends ko rote hue dekhte hain....


girlfriend ko khote hue dekhte hain....


pocket me na money hoti hai.....


na sath me koi honey hoti hai.....


jis kisi ki respect karte hain.....


kyu zindagi me har koi expect karte hain......


kya relatives kya neighbour....


time ane pe all want some favour......


koi ache colleges paane ke liye raat bhar jaagta hai......


na jane kyu har teacher top karane ko humare piche bhagta hai......


girlfriend ko date par le jane ko paise nahi hote hain.....


us waqt na jane situations kaise kaise hote hain.....


ya to halat humesudhar dete hain....


nahi to ache dost hume udhaar dete hain......


na shirt pe kabhi press hoti hai....


par tension girlfriend ko kaise karein impress hoti hai.....


2 tyre wali cycle hoti hai....


puncture hojae to musibat me kam anewali bike of michael hoti hai......


har cheez ki management sikhni padti hai......


ladkiyon se books tak......


getting good marks se looks tak......


bade hote nephew se niece tak.....


recession ke time me pocket money se fees tak......


from student agyakari to next life me incoming naari tak.....


ability dheere dheere capability banti hai.....


need dheere dheere greed banti hai.....


life me humara ek base ek floor banta hai.....


for every luxury dil mange more banta hai......


is tarah har insaan dheere dheere chor banta hai......


waqt ke aage insaan ruk jaata hai......


khuddari jhooth ke samne jhuk jata hai.....


zindagi jeete jeete isi tarah.......


EK DIN THAM KE RUK JAATA HAI!


You loved this blog. Thank you for your rating.
X