MouthShut.com Would Like to Send You Push Notifications. Notification may includes alerts, activities & updates.

OTP Verification

Enter 4-digit code
For Business

Article Rated By

Tribute to woman by a poet .........

By: Raj_onlyone | Posted Nov 22, 2008 | My poems | 494 Views | (Updated Nov 22, 2008 05:20 PM)

Adhure se panno pe likhi ek kahaani


maathe pe shikan, ankhoon mein paani


har lamha safar dudhaari talwaar ka


Naari teri yehi sampoorna kahaani


apna chod ke sabka dhyaan rakhna


bhaiyaa ke liye apni roti chod dena


kabhi suhag ke liye karti upvaas


bete ke intezaar mein kabhi aankhein sooni


adhure se panno pe likhi ek kahaani


jeevan mein sabko lekar ke chalna


galti koi kare to muaf kar dena


par bhule se tum jo karo koi gunah


kar denge sharm se tumhe pani pani


adhure se panno pe likhi ek kahaani


prem aur saundrya hi tumhara tatva hai


is se alag uthkar nahee koi astitva hai


chhalaao se baahar jeevan ka bhi satva hai


purush ke in bhulaavo mein hai kiski haani


adhure se panno pe likhi ek kahaani


mein hoon purush, tum ho naari


samvedna se huaa mera man bhaari


doshi hoon tumhara O' pran pyaari


jhute ahankaar ki baat maine maani


adhure se panno pe likhi ek kahaani


Raj


The pic is a painting from the classic collection of Shri Raja Ravi Verma


You loved this blog. Thank you for your rating.
X