Hello Frienzzz!
Few Shayari's as a token of my humble entry into "Mouthshut" world
Kya karen ki aajkal tum humse khafa rahte ho...
Door hain kuch pal to ise meri khata kahte ho...
Kaise jeete hain bin tumhare koi ilm’ nahi tumko
Hamen pyaar nahi tumse jab milte ho ye gila karte ho.
Aankho se aansu kyu jhalak jate hai ,
Tanhaiyoun mein gum kyun yaad aate hai ..
Pass aakar koi hame yeh bata de ,
Dur rahne wale aksar kyun yaad aate hai ? ?
Jo nahi aata uska Intazaar kyun hota hai??
Kisike liye apna ye haal kyun hota hai?
Waise to iss duniya me kafi cheeze pyari hai magar
Jo nahi milta usise pyar kyun hota hai ????
Sawaalon mein uljhe rahoge toh waqt nikal jaayega
Aaansoon mein jeete rahoge toh sama doob jaayega
Yahi samay hai kuch kar dikhaneka duniya ko
Ab na kiya kuch toh kal chera bhi na dikha sakoge khud ko
Badlon ke darmiyan kuch aisi sajish hui,
Mera ghar mitti ka tha aur mere hi ghar barish hui.
Unki bhi zidd hai bijliyan girane ki,
Aur hamari bhi zidd hai phir se wohi aashiyane banana ki.
Suna tha waqt sab kuch bhula deta hai,
Fir ye hamari baari mein hi kyun daga deta hai,
Ek arsa ho chala unka inkaar sune hue,
Abhi bhi unka zikrr humein andar se rula deta hai ..