MouthShut.com Would Like to Send You Push Notifications. Notification may includes alerts, activities & updates.

OTP Verification

Enter 4-digit code
For Business

Article Rated By

Sad Shayries

By: 9461064809 | Posted Dec 13, 2008 | General | 2953 Views | (Updated Dec 13, 2008 05:31 PM)

Dard se rista hai mera,


Khushi mere nashib mein nahi.


Humse bhi koi pyaar kare,


Itne toh khusnaseeb nahi.


Ek shaqsh paas reh ke bhi samjha nahi mujhe


Iss baat ka malal hai, shikwa nahi mujhe


Main usko bewafaai ka ilzaam kaise doon


Usne toh ibtedaa se hi chaha nahi mujhe


Pathar samjh ke paoon se thokar laga diya


Afsoos ke teri aankh ne parkhaa nahi mujhe


Kya kya umeedein bandh ke aaye the samne


Usne toh aankh bahr ke bhi dekha nahi mujhe


Kab theharna tha mujhko har waqt uss ke pass


Achhaa huwa ke uss ne bhi roka nahi mujhe


Unse keh do wo meri rahoon mein na aaya kare,


Aa bhi jaye toh munh pher kar na jaya kare,


Main toh waise hi jala dil liye firta hoon,


Apni berukhi se iss dil ko aur na jalaya kare,


Unki judaai se tadapna seekh liya humne,


Apna keh kar kalam kisi aur na gaya kare.


Gar jo dil ki suno toh haar jaoge,


Hum jaisa pyaar phir kaha se paoge,


Jaan dene ki baat toh har koi karta hai,


Zindgi banane wala kaha se laoge,


Jo ek nazar dekhoge humein,


Har taraf humko hi paoge,


Yakeen apni chaaht ka itna hai mujhe,


Meri aankhon mein jhankoge aur laut aaoge,


Meri yaadon ke samundar mein jo doob gaye tum,


Kahin jana bhi chahoge toh ja nahi paoge


Har baar itefaak nahi ho gaye,


Bewajaah nahi unpe hum fida ho gaye,


Jinhe na chaha woh ho gaye khafa,


Aur jinhe chaha woh bewaffa ho gaye.


Khuda ne kaash mohabbat banaayi na hoti


Toh aaj iss tarah hamare pyaar ki rusvaayi na hoti


Kaash unke dil mein zara si wafa hoti


Toh iss tarah mere saath bewafaayi na hoti


Kyun sataate ho hame begano ki tarah,


Kabhi toh chaho chane walo ki tarah,


Hum mein hai kuch kami jo tum hame ho tadpate,


Aur tujhme hai kuch khash


Jo hum tumhe bhulna nahi chahte…


Unhe toh fursad nahi milne ki humse,


Aur hamara waqt guzarata hai unki fariyaad karke,


Agar aaye woh meri maut pe,


Toh keh dena abhi soye hai tumhe yaad karke.


Ek pal mein jo aakar gujar jaaye,


Yeh hawa ka woh jhoka hai aur kuch nahi,


Pyaar kehti hai duniya jise,


Ek rangeen dhokha hai ..


aur kuch nahi


Apni aankhon ke samunder mein uttar jane de,


Tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jane de,


Zakham kitne teri chahat se mile hain mujhko,


Sonchta hoon kahoon tujhse, magar jaane de…


Dil ke dard ko dil todne wala kya jane,


Pyaar ke rivajo ko yeh jmaana kya jane,


Hoti hai kitni takleef kabar mein,


Upper se phool chadane waala kya jane!


Mohabbat woh hai jo satati hai,


Nazuk se dil ko tadpati hai,


Karna na kabhi tum mohabbat kisi se,


Kambkt ye woh hai..


Jo haste logo ko rulati hai!


Beetay pal wapas la nahi sakte,


Sukhe phool wapas khila nahi sakte,


Kabhi kabhi lagta hai aap hamein bhul gaye,


par dil kehta hai k aap hamein bhula nai sakte.


Anjane mein hum apna dil gawa baithe


iss pyar me kaisa dhoka kar baithe


unse kya gila kare?


Bhool hamari hi hai


jo bina dil-walon se dil laga baithe.


Har taraf gehrai hai kinara nazar nahi aata


Raah mein bane jab musaafir toh koi hamsafar nazar nahi aata


Vaada toh kar lete hai sabhi mohabbat kar lene ke baad


Par jab waqt aaye toh koi saath nibhaane nahi aata


Panchi keh rahe hai ki hum chaman chod denge,


aur sitare keh rahe hai ki hum gagan chod denge,


agar tere ishq mein mai mar bhi jau ae sanam,


tum dilse pukar lena hum kafan chod denge.


Chot khate hai aur muskurate hai,


Iss dil ko sabar karna sikhate hai,


Hum to gham lekar bhi yaad rakhte,


Aur ek wo hai jo gham dekar bhi bhool jate hai.


Aap to manzil ko mushkil samajte hain


hum aap ko manzil samajte hain,


bada fark he apke or hamare nazariye mein


aap hume sapna or hum aap ko apna samajte hain


Shaam udas thi subah udas thi,


Kafan me lipti hue meri laash thi,


Ae mere gharwalo muje wahi dafnao


Jaha meri aur uski pehli mulakat thi…


Leke hum dusro ki hasi kya kare,


Jo apni nahi woh khushi kya kare,


Tanha jine se behatar hai mar jaye hum,


Jab saath tum nahi toh zindagi jikar kya kare


You loved this blog. Thank you for your rating.
X