Khwabon ko palkon pe basne ka aashiyan hardam nahin milta,
Hawa main behte ishq ke paigam ko hardam aashik ka thikana nahin milta
Hoton par machalte geeton ko hardam mohabbat ka sur nahin milta,
Dil main machalte armaanon ko hardam ishq ka sahara nahin milta
Hamein zindagi se shikayat nahin,
Pyaar main hamaare har pal hai sookun milta,
Sapno ko hamare ishq ki haqequat ka kinara hai milta.
Jab jaana itne khush nasib bhi nahin hain hum,
par yaar ki bewafai main bhi wafa ka deedar hai milta