pyarr aur vishvas ki apni ek,
alag duniya hoti hai,
usko kisi chal-kapat se kya,
lena dena,
is duniya ke bashindon ki,
apnia ek sansar hota hai,
kaun kahn kya karta hai,
kehta hai,
is sabse kya karna,
jab soch liya ki sara samndar,
humara hai,
to ek lehar ki kya chinta karna,
is dil ki duniya ke bashindon ki,
karigari nirali hoti hai,
jab dil nahi rudhta to,
honto ko kyon shikayat karne do,
dilon ki duniya mai,
kitni jagah hai ki,
sari duniya choti,
pad jati hai,
kya rudhna kya mana lena?
dil ki duniya mai,
yeh dharti,
yeh akash,
kuch chote se ho jate hai.