MouthShut.com Would Like to Send You Push Notifications. Notification may includes alerts, activities & updates.

OTP Verification

Enter 4-digit code
For Business

Article Rated By

A poem inspired by 3 idiots

By: sandeepmehta_1 Verified Member MouthShut Verified Member | Posted Aug 26, 2012 | General | 517 Views

Watching 3 idiots...got a thought, converted in poem.


Kaash hamari zindagi aisi hoti,


Kaash hamari har khushi aisi hoti.


Zindagi ghamo ki chaadar na hoti,


Har khushi subah ki roshni si tarotaaza hoti


Akele hone par bhi tanhai nahi hoti,


Yaaro ki yaade kuch aise saath hoti.


Dil ki sun lete, dimag ki fikar na hoti,


Chain se so jate aaj, kal ki parwah na hoti.


Fikr ke jhoke raah me naa aate sapno me,


Khusi se bhari har raat hoti.


Zuban ki bhi apni ek hasti hoti,


Ye har kadm par ALL IJ WELL bol paati.


Sukoon pane ko hum yu na taraste,


Zindagi zeene ka bas ek naam hoti.


Kaash hamari zindagi aisi hoti,


Kaash hamari har khushi aisi hotiā€¦


You loved this blog. Thank you for your rating.
X