dil khamoshiyon se naraj,
hota hai,
dil ki sabse komal bhavnao,
ko kamjoriyon ka naam de,
diya,
to dil bhi thodi khudgarji,
dikhane lagta hai,
jahn lag jata hai,
wahin se apne ko churane,
lagta hai,
dil kisi se kahan kuch kehta,
hai,
par khamoshiyon mai bhi,
kuch kehta hai,
jab bahut khamosh rehta hai,
to palko se,
thode moti chalka deta hai,
dil jiske liye sab luta deta hai,
wahi apne dil mai humare liye,
koi jagah rakhte nahi,,
lakh chahne par bhi hum unki,
tarah bann sakte nahi.