Umeedien raston ke naam kar do
Jo hua us bemanzar khwaish ko tamaam kar do
Is duniya mein kam nahin hain dard koi
Agar tumhein thodi khushi mil jayen to use bhi tumhaare naam kar do
Hum sabhi mashroof hain do waqt ki roti kamane mein
Na maloom kisi ke dil ko thes pahunchi hain
Yeh dard nahin hain dava hain doston,
Agar thodi si bhi mil jayen
To use hamare darwazon ka pata batana
Shayaad hum isi se apni kahani likhenge
Yun to kuch bhi na ho saka is zindagi mein humse
Koshish yeh rahegi ki isse siyahi banakar
tumhare paas bhej denge
Aaj agar dava mil jaaye to yeh hamara ghuroor hoga
Ki aap ke ghamon ne hume yeh izzat bakshi hain
Isse se jee lenge, warna hamara kaun tha jo hamare saath hota…