MouthShut.com Would Like to Send You Push Notifications. Notification may includes alerts, activities & updates.

OTP Verification

Enter 4-digit code
For Business
MouthShut Logo
16 Tips
×

Upload your product photo

Supported file formats : jpg, png, and jpeg

Address



Contact Number

Cancel

I feel this review is:

Fake
Genuine

To justify genuineness of your review kindly attach purchase proof
No File Selected

Sab Bolo Jor se, Bharat Mata ki - JAI !!!
Aug 14, 2006 09:48 PM 14541 Views
(Updated Aug 14, 2006 10:10 PM)

Humare games teacher hai chauhan sir. 15 aug ke 2 hafte pehale humare yaha roj subah prayer ke baad'jan-gan-man' hota hai, fir humko bolate hai sir, 'ek sur mein nara lagaenge sab - bolo bharat mata ki.' aur hum sab log joro se chilate hai' JAIIII!'


aisa roj chalata rehata hai aur fir aakhir mein humko 15 aug ko sab'jan man gan' gate hai. kal hai 15 aug yani humari aazadi ka din. isliye hum sab ko apne veer shahid jawano ko yaad karana chahiye jinhone apne jaan de ke humko aazadi dilayi, aur unke samman mein kuch gaane gaane chahiye. to main aapko bata deta hun gaane jo mujhe aate hai.




  • ae mere vatan ke logo, jara aankh me bhar lo pani




yeh lata mangeshkar ka gana hai, bahut aacha gana hai, inki awaaz baut hee achi hai, mujhe bahut pasan hai, gaan bhi baria hai.




  • *Film roja ka gana hai' bharat humko jaan se pyara hai, subse pyara gulsata humara hai'




*bahut aacha ggana hai yeh, hariharan ne isko gaya hai. unki aawaz bhi bahut aachi hai, aur ar rehman ka sangeet bhi bahut aacha hai. aakhir mein gaan tez ho jata hai to aur bhi josh bhar deta hai.




  • *'Ae mere pyare vatan, ae mere bichare chaman, tujh pe dil kurbaan'




*mere papa ka favorite gana hai, gaayak hai manna day, picture pata nai, bahut aacha gaya hai, bahut aache alfaaz bhi hai, alfaaz matlab bol .




  • *'Panchi nadiya pawan ke jhoke, koi sarhad na inhe roke'




*sonu nigam ne gaya hai. picture hai refugee, bahut bekaar picture thi, par gaana aacha hai. patriotic to nai hai, par hindustan pakistan ki dosti pe hai, to mujhe aacha laga. sabko mil ke rehana chahiye.




  • 'jan gan man adhinakyak jai he, bharat bhagya vidhata'




yeh raashtriya gaan hai humara, national song, rabindranath tagore ne ise likha hai, humko iska matlab bhi nai malum ha, ek din chahan sir ne bolo ki tum gaate ho roj ise, to iska matlab bhi pata hai, hum me se kisi ko nai pata tha to fir unhone iska poora matlab bataya. unki hindi aur sanskrit bahut aachi hai, isliye unko pata tha.




  • Vande maataram, sujalaam sufalaam, malayaj sheetalaam'




yeh sanskrit mein hai, iska matlab bhi bataya unhone, yeh bahut aachi poem hai, bankim chanda ne likhi hai, humko roj school mein prayer mein hoti hai yeh poem. iska matab bhi bahut aacha hai.


hum sabko swatantrata divas ko aache se manana chahiye aur shahido ki kadr karni chahiye, kyoki unki vajah se hi hum aazad hai, nai to abhi tak gulam hote.


to sab log bolo jor se:


BHARAT MATA KI - JAIIIIII!


SHAHEED JAWAAN AMAR RAHE HAMEESHA!


VANDE MATARAM!


JAI HIND!


Sab ko khoob sara pyar aur tata.


Upload Photo

Upload Photos


Upload photo files with .jpg, .png and .gif extensions. Image size per photo cannot exceed 10 MB


Comment on this review

Read All Reviews

X