MouthShut.com Would Like to Send You Push Notifications. Notification may includes alerts, activities & updates.

OTP Verification

Enter 4-digit code
For Business
MouthShut Logo
Upload Photo

MouthShut Score

100%
4.39 

Readability:

Story:

×

Upload your product photo

Supported file formats : jpg, png, and jpeg

Address



Contact Number

Cancel

I feel this review is:

Fake
Genuine

To justify genuineness of your review kindly attach purchase proof
No File Selected

Kal Gandhi Jayanti Hai
Oct 01, 2006 08:17 PM 12081 Views
(Updated Oct 01, 2006 08:18 PM)

Readability:

Story:

Kal hai 2 Oct, matlab Gandhi Jayanti. Kal School ki chutti hogi kyoki baapu ka janam din hai, to unke sammaan mein sab kuch band reheta hai, bank , school, sab sarkari kaam band hote hai, aur kahi kahi private office bhi band hote hai.


Gandhi ji ne bharat ko azaadi dilane mein bahut ahem bhomika nibhai thi. Ahinsa ka naara , aur kehate the ki koi ek gaal pe chata maare to doosara bhi aage kar dena. Halaki log unki es baat ka maajak udate hai, par mujhe to vo bahut pasand hai.


Mere pas unki kitaab hai - hindi mein hai ' Satya ke mere prayog' (My experiments with truth), Mujhe gift mili thi mere birthday mein, maine padi to nai hai poori, par thodi se padi hai, to main aapko bata deta hoon.


yeh baapu ki aatmakatha hai matlab autobiography hai. Isme unhone aapne bachpan se le kar saari baatein bahut hi saral bhasha mein aur poori emaandaari ke saath batayi hai. Jaise agar aap socho 'mahatma gandhi' - to aisa lagata hai ki koi bahut bada aadami hai, toap hoga, par aisa nai hai. Vo bhi humare jaise aam aadmi hi the, jo apni soch aur emaandaari ke karan mahapurush bane.


Jaise unhone bataya hai ki bachapan mein vo bahut dubale patale the, to unko aacha nai lagata tha, aur unhone maans (meat) khaya kyoki kisi ne unko bol diya tha ki meat khane se mote tagade ho jaoge.




  • Fir pehale pehale unko logo ke samane kuch bolane mein bahut dar lagata tha, vo kai baar logo ke saamne bolane khade hue, par dar ke maare kuch bol nai paatre the. Fir dheere dheere unhone himmat ki, aur fir to vo lakho logo ke saamne apna bhashan dene lage.




To ab aap kitaab ko padho to lagata hai ki , vo bikul saadharan aadmi jaise he the, par unhone apne ko a-sadharan banaya (extraordinary banaya ordinary se).


Aur fir bahut kuch likha hai kitaab mein, meri samajh mein poora nai aaya, kyoki, aazadi ki aur philosophical baatein likhi hai, jo mujhe pata bhi nai aur samajh mein bhi nai aayi. Par bhasha bahut saral hai.


Mujhe to isliye nai aai samajh mein kyoki bahut technical ho gayi mere liye.


Aap sab log padh lena, aapko to aa jaegee aaram se samjh mein.


Baapu amar rahe, ahinsa paramo dharma , gandhigiri zindabaad.


Sabko khoob sara pyar aur tata


Jai Hind.


Upload Photo

Upload Photos


Upload photo files with .jpg, .png and .gif extensions. Image size per photo cannot exceed 10 MB


Comment on this review

Read All Reviews

YOUR RATING ON

My Experiments with Truth - M K Gandhi
1
2
3
4
5
X